news general topic

Tuesday, March 29, 2011

Sab Hanstay Hain (Shayri sMs)













Yahaan apni apni baari per

Sab hanstay hain

Sab rotay hain

Dil tau sab ke hi hotay hain

Dukh bhi sab ko hotay hain

Kuch ashk diloon per girtay hain

Kuch mitti mein mil jaatay hain

Kuch lafz adaa hojatay hain

Kuch hontoo mein sil jaatay hain

Maana ke adhooray rehtay hain

Per khwaab tau sab ke hotay hain

Kuch kho kar bhi paa laitay hain

Kuch paa kar bhi khoo detay hain

Yahaan apni apni baari per

Sab hanstay hain

Sab rotay hain …



Popular Posts

adf.ly

trafficrevenue

amung.us